Friday 23 September 2011

Aaj badi tanhai hai - Sad Romantic - sher o shayari in urdu

Aaj badi tanhai hai - Sad Romantic - sher o shayari in urdu

Aaj bouhat hai pani barsa aaj badi tanhai hai
Aise me kiyoin aye jaane tamnna yaad tumhari ayi hai
Kaise dil ke dard sahe kaise ashk aankhon se kahen
Abhi to dil ke zakham naye hain ispar ye purwayi hai
Tees hai dil me dard jigar me aankhen nam our tanhai hai
Is liye bina kuch likhe hi kora kagaz bheja hai
Khat ko agar koi padhlega is me ham dono ki ruswai hai

No comments:

Post a Comment